KHud se jo rabta nahin karte
ḳhud se jo rābta nahīñ karte
zindagī se vafā nahīñ karte
apnī bāteñ kahā nahīñ karte
ham ḳhamoshī ko vā nahīñ karte
apnī tasvīr aise mat dekho
aañkh ko aa.ina nahīñ karte
bas sunāte ho faisla apnā
tum kabhī mashvara nahīñ karte
tum ye duniyā bhī jiit sakte ho
bas zarā hausla nahīñ karte
tum ko ma.alūm kyā hai āzādī
tum parinde rihā nahīñ karte
KHud se jo rabta nahin karte
zindagi se wafa nahin karte
apni baaten kaha nahin karte
hum KHamoshi ko wa nahin karte
apni taswir aise mat dekho
aankh ko aaina nahin karte
bas sunate ho faisla apna
tum kabhi mashwara nahin karte
tum ye duniya bhi jit sakte ho
bas zara hausla nahin karte
tum ko malum kya hai aazadi
tum parinde riha nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.