KHud se juda hue to kahin ke nahin rahe
ḳhud se judā hue to kahīñ ke nahīñ rahe
yuuñ dar-ba-dar hue ki zamīñ ke nahīñ rahe
rishte rafāqatoñ ke raqābat meñ Dhal ga.e
dīvār-o-dar bhī apne makīñ ke nahīñ rahe
hijrat-zada libās meñ phirte haiñ dar-ba-dar
rahnā thā jis nagar meñ vahīñ ke nahīñ rahe
ye kūza-gar ye chaak ye miTTī ye aag sab
zo.am-e-hunar meñ dekh kahīñ ke nahīñ rahe
ḳhvāboñ ke zaḳhm aañkh se risne lage 'ġhazal'
ye dard-e-jāñ bhī qalb-e-hazīñ ke nahīñ rahe
KHud se juda hue to kahin ke nahin rahe
yun dar-ba-dar hue ki zamin ke nahin rahe
rishte rafaqaton ke raqabat mein Dhal gae
diwar-o-dar bhi apne makin ke nahin rahe
hijrat-zada libas mein phirte hain dar-ba-dar
rahna tha jis nagar mein wahin ke nahin rahe
ye kuza-gar ye chaak ye miTTi ye aag sab
zoam-e-hunar mein dekh kahin ke nahin rahe
KHwabon ke zaKHm aankh se risne lage 'ghazal'
ye dard-e-jaan bhi qalb-e-hazin ke nahin rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.