KHud se kitna kiya dagha maine
ḳhud se kitnā kiyā daġhā maiñ ne
abhī sīkhī nahīñ vafā maiñ ne
niklā chūhā pahāḌ ko khodā
jo kiyā jo kahā sunā maiñ ne
kholiye kyuuñ dukhoñ ke daftar ko
sochnā band kar diyā maiñ ne
haañ lagāyā hai zikr 'azmat par
zor se ek qahqaha maiñ ne
hāsil-e-zīst hai ki dekhā hai
sumbul-o-sabz-o-sabā maiñ ne
zindagī zahr thā use suqrāt
jur.a jur.a magar piyā maiñ ne
chhup ke baiThā huuñ sharmsārī se
kā'be se duur lī hai jā maiñ ne
ye to tazlīl hai shahādat kī
kabhī māñgā na ḳhūñ-bahā maiñ ne
jab baḌhī aur sharm-e-uryānī
oḌh lī ḳhaak kī qabā maiñ ne
apne dil ko to sī nahīñ saktā
apne hoñToñ ko sī liyā maiñ ne
ḳhauf se bhaag niklā majlis se
jab sunā zikr-e-karbalā maiñ ne
KHud se kitna kiya dagha main ne
abhi sikhi nahin wafa main ne
nikla chuha pahaD ko khoda
jo kiya jo kaha suna main ne
kholiye kyun dukhon ke daftar ko
sochna band kar diya main ne
han lagaya hai zikr 'azmat par
zor se ek qahqaha main ne
hasil-e-zist hai ki dekha hai
sumbul-o-sabz-o-saba main ne
zindagi zahr tha use suqraat
jura jura magar piya main ne
chhup ke baiTha hun sharmsari se
ka'be se dur li hai ja main ne
ye to tazlil hai shahadat ki
kabhi manga na KHun-baha main ne
jab baDhi aur sharm-e-uryani
oDh li KHak ki qaba main ne
apne dil ko to si nahin sakta
apne honTon ko si liya main ne
KHauf se bhag nikla majlis se
jab suna zikr-e-karbala main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.