KHud se koi mukar gaya hoga
ḳhud se koī mukar gayā hogā
ishq-dariyā utar gayā hogā
nahīñ dekhā koī garebāñ-chāk
ek majnūñ thā mar gayā hogā
phir rahā hai jo ik bagūla sā
ḳhvāb us kā bikhar gayā hogā
is liye kirchiyāñ haiñ chāroñ taraf
aa.ine se vo Dar gayā hogā
ab use yaad kyā dilā.eñ ham
kar ke va.ada mukar gayā hogā
KHud se koi mukar gaya hoga
ishq-dariya utar gaya hoga
nahin dekha koi gareban-chaak
ek majnun tha mar gaya hoga
phir raha hai jo ek bagula sa
KHwab us ka bikhar gaya hoga
is liye kirchiyan hain chaaron taraf
aaine se wo Dar gaya hoga
ab use yaad kya dilaen hum
kar ke wada mukar gaya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.