KHud se milne ke liye bhes badal kar jaana
ḳhud se milne ke liye bhes badal kar jaanā
ā.ina-ḳhāne meñ jaanā to sañbhal kar jaanā
ek parvāne ke jal bujhne kā hāsil ma.alūm
bazm se sham.a kī mānind pighal kar jaanā
merā maqsad thā sañvar jaa.eñ vafā kī rāheñ
varna dushvār na thā raah badal kar jaanā
vādī-e-lams meñ chāho jo mahak sāñsoñ kī
mauj-e-sahbā kī tarah jaam meñ Dhal kar jaanā
nabz-e-kaunain ko dhaḌkan hai amal kī aahaT
maiñ ne us raaz ko sāhil se nikal kar jaanā
dāman-e-faqr meñ saaya hai jahāñgīrī kā
lekin akbar kī tarah dhuup meñ chal kar jaanā
ai 'hayāt' apne hī ehsās ne baḌhne na diyā
kitnā āsān thā girtoñ ko kuchal kar jaanā
KHud se milne ke liye bhes badal kar jaana
aaina-KHane mein jaana to sanbhal kar jaana
ek parwane ke jal bujhne ka hasil malum
bazm se shama ki manind pighal kar jaana
mera maqsad tha sanwar jaen wafa ki rahen
warna dushwar na tha rah badal kar jaana
wadi-e-lams mein chaho jo mahak sanson ki
mauj-e-sahba ki tarah jam mein Dhal kar jaana
nabz-e-kaunain ko dhaDkan hai amal ki aahaT
main ne us raaz ko sahil se nikal kar jaana
daman-e-faqr mein saya hai jahangiri ka
lekin akbar ki tarah dhup mein chal kar jaana
ai 'hayat' apne hi ehsas ne baDhne na diya
kitna aasan tha girton ko kuchal kar jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.