KHud se nibah shaq hua hai kabhi kabhi
ḳhud se nibāh shaaq huā hai kabhī kabhī
saarā vajūd chaaq huā hai kabhī kabhī
DhūñDā use to ḳhud se mulāqāt ho ga.ī
aisā bhī ittifāq huā hai kabhī kabhī
har zāviye se aks ko dekhā hai aañkh ne
har baat kā firāq huā hai kabhī kabhī
haa.il hai jo azal se mire hāl-o-qāl meñ
vo bhī ayaañ nifāq huā hai kabhī kabhī
hañste haiñ jab bhī log to lagtā hai yuuñ mujhe
mujh se bhī ye mazāq huā hai kabhī kabhī
ḳhāmoshiyoñ kī tarz se bāvar huā mujhe
dil be-hisī meñ taaq huā hai kabhī kabhī
'rāhat' hai jis kī zaat se rishta qarīb kā
vo bhī aziiz aaq huā hai kabhī kabhī
KHud se nibah shaq hua hai kabhi kabhi
sara wajud chaq hua hai kabhi kabhi
DhunDa use to KHud se mulaqat ho gai
aisa bhi ittifaq hua hai kabhi kabhi
har zawiye se aks ko dekha hai aankh ne
har baat ka firaq hua hai kabhi kabhi
hail hai jo azal se mere haal-o-qal mein
wo bhi ayan nifaq hua hai kabhi kabhi
hanste hain jab bhi log to lagta hai yun mujhe
mujh se bhi ye mazaq hua hai kabhi kabhi
KHamoshiyon ki tarz se bawar hua mujhe
dil be-hisi mein taq hua hai kabhi kabhi
'rahat' hai jis ki zat se rishta qarib ka
wo bhi aziz aaq hua hai kabhi kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.