KHud se rahta hai iKHtilaf mujhe
ḳhud se rahtā hai iḳhtilāf mujhe
maiñ bhī kartā nahīñ muaaf mujhe
tum mire sāmne nahīñ aanā
kah diyā maiñ ne saaf saaf mujhe
ye sarāpā ye ḳhāl-o-ḳhad tere
kar rahe haiñ mire ḳhilāf mujhe
lams bhī chāhtā huuñ hiddat bhī
dījiye jism kā lihāf mujhe
tum faqat jism Dhāñp sakte ho
chāhiye ruuh kā ġhilāf mujhe
kyūñki iz.hār-e-shauq kar baiThā
Das rahā hai vo e'tirāf mujhe
ek duniyā hai naaf ke uupar
ek duniyā hai zer-e-nāf mujhe
KHud se rahta hai iKHtilaf mujhe
main bhi karta nahin muaf mujhe
tum mere samne nahin aana
kah diya main ne saf saf mujhe
ye sarapa ye KHal-o-KHad tere
kar rahe hain mere KHilaf mujhe
lams bhi chahta hun hiddat bhi
dijiye jism ka lihaf mujhe
tum faqat jism Dhanp sakte ho
chahiye ruh ka ghilaf mujhe
kyunki izhaar-e-shauq kar baiTha
Das raha hai wo e'tiraf mujhe
ek duniya hai naf ke upar
ek duniya hai zer-e-naf mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.