KHud tamasha hai KHud tamashai
ḳhud tamāsha hai ḳhud tamāshā.ī
husn apnā hai aap shaidā.ī
shauq ne phir lagā.ī dil meñ aag
muzhda ai zindagī bahār aa.ī
ham kahāñ aur kahāñ tirī mahfil
hai mohabbat kī kār-farmā.ī
ik tamanna thī un se milne kī
umr guzrī magar na bar aa.ī
ishq kī azmatoñ se nā-vāqif
kar rahe haiñ abhī jabīñ-sā.ī
ab kahāñ jaa.eñ kaun pūchhegā
tere dīvāne tere saudā.ī
ek 'nāshād' kyā ki aalam hai
terā dīvāna terā saudā.ī
KHud tamasha hai KHud tamashai
husn apna hai aap shaidai
shauq ne phir lagai dil mein aag
muzhda ai zindagi bahaar aai
hum kahan aur kahan teri mahfil
hai mohabbat ki kar-farmai
ek tamanna thi un se milne ki
umr guzri magar na bar aai
ishq ki azmaton se na-waqif
kar rahe hain abhi jabin-sai
ab kahan jaen kaun puchhega
tere diwane tere saudai
ek 'nashad' kya ki aalam hai
tera diwana tera saudai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.