KHud udasi mein to apni ye kami rakkhi hai
ḳhud udāsī meñ to apnī ye kamī rakkhī hai
saath jab tak hai vo chehre pe hañsī rakkhī hai
vo kabhī sūkhte peḌoñ ko to paanī degā
maiñ ne is vāste ik Tahnī harī rakkhī hai
vaqt se baḌh ke aziyyat hī nahīñ duniyā meñ
jaane kis vāste allah ne ghaḌī rakkhī hai
jo udāsī kī zarūrat ho to mujh se kahnā
mere hāthoñ kī lakīroñ meñ jhaḌī rakkhī hai
kitne hī saañp yahāñ aa ke paḌe rahte haiñ
is liye āstīñ dil se bhī baḌī rakkhī hai
KHud udasi mein to apni ye kami rakkhi hai
sath jab tak hai wo chehre pe hansi rakkhi hai
wo kabhi sukhte peDon ko to pani dega
main ne is waste ek Tahni hari rakkhi hai
waqt se baDh ke aziyyat hi nahin duniya mein
jaane kis waste allah ne ghaDi rakkhi hai
jo udasi ki zarurat ho to mujh se kahna
mere hathon ki lakiron mein jhaDi rakkhi hai
kitne hi sanp yahan aa ke paDe rahte hain
is liye aastin dil se bhi baDi rakkhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.