KHud uTh ke hath mere gareban mein aa gae
ḳhud uTh ke haath mere garebāñ meñ aa ga.e
shāyad qadam junūñ ke gulistāñ meñ aa ga.e
is ke sivā batā.eñ asīrī kā kyā sabab
ghabrā.e anjuman se to zindāñ meñ aa ga.e
kyā hogā chaar phūloñ se ai mausam-e-bahār
ye to hamāre gosha-e-dāmāñ meñ aa ga.e
josh-e-bahār aur ye be-iḳhtiyāriyāñ
sū-e-chaman chale the bayābāñ meñ aa ga.e
'sīmāb' kibr-o-nāz kā anjām kuchh na pūchh
sab rafta rafta gor-e-ġharībāñ meñ aa ga.e
KHud uTh ke hath mere gareban mein aa gae
shayad qadam junun ke gulistan mein aa gae
is ke siwa bataen asiri ka kya sabab
ghabrae anjuman se to zindan mein aa gae
kya hoga chaar phulon se ai mausam-e-bahaar
ye to hamare gosha-e-daman mein aa gae
josh-e-bahaar aur ye be-iKHtiyariyan
su-e-chaman chale the bayaban mein aa gae
'simab' kibr-o-naz ka anjam kuchh na puchh
sab rafta rafta gor-e-ghariban mein aa gae
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 254)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.