KHuda bachae mohabbat ki us bala se bhi
ḳhudā bachā.e mohabbat kī us balā se bhī
ki dard-e-dil nahīñ jaatā kisī davā se bhī
jalā rakhe haiñ mirī zindagī meñ sāñsoñ ne
charāġh aise ki bujhte nahīñ havā se bhī
mire liye mirā allāh kaun sā kam hai
mujhe to kaam nahīñ hai kisī ḳhudā se bhī
charāġh-e-rāh banāyā hai tum ne kis kis ko
kabhī mile ho mohammad ke naqsh-e-pā se bhī
ham apnī jaan usī par nisār karte haiñ
hameñ vo qatl kare chāhe jis adā se bhī
isī chaman meñ jo merā chaman hai merā chaman
bahut se peḌ mire ḳhuun ke haiñ pyāse bhī
sitam kisī pe vo karte nahīñ hamāre sivā
jafā to hai ye magar kam nahīñ vafā se bhī
dhaḌakte sher sune ham ne bint-e-'kaif' se aaj
mile ham ek mohabbat kī shā.era se bhī
KHuda bachae mohabbat ki us bala se bhi
ki dard-e-dil nahin jata kisi dawa se bhi
jala rakhe hain meri zindagi mein sanson ne
charagh aise ki bujhte nahin hawa se bhi
mere liye mera allah kaun sa kam hai
mujhe to kaam nahin hai kisi KHuda se bhi
charagh-e-rah banaya hai tum ne kis kis ko
kabhi mile ho mohammad ke naqsh-e-pa se bhi
hum apni jaan usi par nisar karte hain
hamein wo qatl kare chahe jis ada se bhi
isi chaman mein jo mera chaman hai mera chaman
bahut se peD mere KHun ke hain pyase bhi
sitam kisi pe wo karte nahin hamare siwa
jafa to hai ye magar kam nahin wafa se bhi
dhaDakte sher sune hum ne bint-e-'kaif' se aaj
mile hum ek mohabbat ki shaera se bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.