KHuda duniya ishaaron se riha kar
ḳhudā duniyā ishāroñ se rihā kar
ghuTan baḌhne lagī hai kuchh kahā kar
kahīñ pahle kabhī ham bhī ḳhudā the
hameñ ye bhī lagā duniyā meñ aa kar
tavāzun kā alam-bardār hai tū
sabhī ke paidā hone par marā kar
zamīñ kī bhuuk baḌhtī jā rahī hai
farishte so chuke haiñ khānā khā kar
KHuda duniya ishaaron se riha kar
ghuTan baDhne lagi hai kuchh kaha kar
kahin pahle kabhi hum bhi KHuda the
hamein ye bhi laga duniya mein aa kar
tawazun ka alam-bardar hai tu
sabhi ke paida hone par mara kar
zamin ki bhuk baDhti ja rahi hai
farishte so chuke hain khana kha kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.