KHuda gar mere hathon mein dilase ki chilam bharta
ḳhudā gar mere hāthoñ meñ dilāse kī chilam bhartā
maiñ ahl-e-hijr ke ThanDe paḌe sīnoñ meñ dam bhartā
agar mujh ko kisī ke husn kā mausam na raas aatā
maiñ dil ke saare ḳhānoñ meñ tirī furqat ke ġham bhartā
musavvir maiñ hasīñ lagtā tire sab shāhkāroñ se
tū mujh meñ rañg to bhartā bhale auroñ se kam bhartā
bahut thak kar savāl-e-vasl us se kar diyā maiñ ne
maiñ kab tak dekhā-dekhī se mohabbat kā shikam bhartā
KHuda gar mere hathon mein dilase ki chilam bharta
main ahl-e-hijr ke ThanDe paDe sinon mein dam bharta
agar mujh ko kisi ke husn ka mausam na ras aata
main dil ke sare KHanon mein teri furqat ke gham bharta
musawwir main hasin lagta tere sab shahkaron se
tu mujh mein rang to bharta bhale auron se kam bharta
bahut thak kar sawal-e-wasl us se kar diya main ne
main kab tak dekha-dekhi se mohabbat ka shikam bharta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.