KHuda hai shahid ki is sanam sa kisi sanam ka badan na dekha
KHuda hai shahid ki is sanam sa kisi sanam ka badan na dekha
Meer Ali Ausat Rashk
MORE BYMeer Ali Ausat Rashk
ḳhudā hai shāhid ki is sanam sā kisī sanam kā badan na dekhā
sunī nazākat sunī halāvat kamar ko misl-e-dahan na dekhā
riyāz-e-duniyā kī kyā haqīqat riyāz-e-jannat go hai tamanna
kisī ne ai andalīb-o-qumrī vo sarv gul-pairahan na dekhā
hazāroñ mazmūn ham ne bāñdhe chhupā jo mū-e-nazar kamar se
liye tasavvur ne lākhoñ bose jo rū-e-ġhuncha-dahan na dekhā
ḳhayāl-e-yāqūb meñ na aatā gumān pairāhan-e-pisar kā
hazār afsos us ne terā purānā bhī pairahan na dekhā
banā.e madfan ajiib ghar hai kab inhidām-e-makāñ kā Dar hai
rah-e-fanā rāh-e-be-ḳhatar hai yahāñ ġham-e-rāh-zan na dekhā
ġhazal kā har sher garm-tar hai kalām-e-'rashk' ātish-o-sharar hai
ye sohbat-e-'mehr' kā asar hai ki sard is kā suḳhan na dekhā
KHuda hai shahid ki is sanam sa kisi sanam ka badan na dekha
suni nazakat suni halawat kamar ko misl-e-dahan na dekha
riyaz-e-duniya ki kya haqiqat riyaz-e-jannat go hai tamanna
kisi ne ai andalib-o-qumri wo sarw gul-pairahan na dekha
hazaron mazmun hum ne bandhe chhupa jo mu-e-nazar kamar se
liye tasawwur ne lakhon bose jo ru-e-ghuncha-dahan na dekha
KHayal-e-yaqub mein na aata guman pairahan-e-pisar ka
hazar afsos us ne tera purana bhi pairahan na dekha
banae madfan ajib ghar hai kab inhidam-e-makan ka Dar hai
rah-e-fana rah-e-be-KHatar hai yahan gham-e-rah-zan na dekha
ghazal ka har sher garm-tar hai kalam-e-'rashk' aatish-o-sharar hai
ye sohbat-e-'mehr' ka asar hai ki sard is ka suKHan na dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.