Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHuda hi us chup ki dad dega ki turbaten raunde Dalte hain

Shad Lakhnavi

KHuda hi us chup ki dad dega ki turbaten raunde Dalte hain

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    ḳhudā us chup daad degā ki turbateñ rauñde Dālte haiñ

    ajal ke maare hue kisī se na bolte haiñ na chālte haiñ

    zalīl hote haiñ aib haiñ ḳhud jo aib us meñ nikālte haiñ

    unhīñ ke uupar ḳhaak paḌtī jo chāñd par ḳhaak Dālte haiñ

    talavvun-e-aish-o-ġham se bāham zamīn ye nañg-e-āsmāñ hai

    ki muñh se ham ḳhuun Dālte haiñ vo rañg-e-nau-roz uchhālte haiñ

    na ghar ke mānind maah har shab maze uḌāte haiñ ham-damoñ se

    qarār fardā roz kar ke hameñ qayāmat pe Tālte haiñ

    piye hue haiñ sharāb-e-sāqī chaḌhī hai mastī-e-pāk-bāzī

    vo bāda-kash meñ mudām-e-sāqī jo duḳht-e-raz ko khañgālte haiñ

    mudām barham mizha ke aare saroñ pe chalte haiñ āshiqoñ ke

    banā ke gesu-e-mushk-bū ko vo maañg jis dam nikālte haiñ

    jalā rahe sham-e-bazm sā.īñ uThā ke pahlū se apne ham ko

    raqīb ko misl-e-dil baġhal meñ miyān-e-mahfil biThālte haiñ

    kisī ko bātoñ meñ haiñ lagāte kisī ko fiqroñ meñ haiñ uḌāte

    kalīm se ham-kalām ho kar masīh ko dam meñ Tālte haiñ

    bisāt-e-ulfat hai vo nirālī jahāñ meñ jāñ-bāḳhta khilāḌī

    juā bhī ye but jo khelte haiñ to dil kauḌī uchhālte haiñ

    junūñ bad-nāmiyāñ haiñ jitnī ham aap ai 'shād' uThā rahe haiñ

    na thoñpne kohkan ke sar haiñ na qais-o-vāmiq pe Dhālte haiñ

    KHuda hi us chup ki dad dega ki turbaten raunde Dalte hain

    ajal ke mare hue kisi se na bolte hain na chaalte hain

    zalil hote hain aib hain KHud jo aib us mein nikalte hain

    unhin ke upar hi KHak paDti jo chand par KHak Dalte hain

    talawwun-e-aish-o-gham se baham zamin ye nang-e-asman hai

    ki munh se hum KHun Dalte hain wo rang-e-nau-roz uchhaalte hain

    na ghar ke manind mah har shab maze uDate hain ham-damon se

    qarar farda ka roz kar ke hamein qayamat pe Talte hain

    piye hue hain sharab-e-saqi chaDhi hai masti-e-pak-bazi

    wo baada-kash mein mudam-e-saqi jo duKHt-e-raz ko khangalte hain

    mudam barham mizha ke aare saron pe chalte hain aashiqon ke

    bana ke gesu-e-mushk-bu ko wo mang jis dam nikalte hain

    jala rahe sham-e-bazm sain uTha ke pahlu se apne hum ko

    raqib ko misl-e-dil baghal mein miyan-e-mahfil biThaalte hain

    kisi ko baaton mein hain lagate kisi ko fiqron mein hain uDate

    kalim se ham-kalam ho kar masih ko dam mein Talte hain

    bisat-e-ulfat hai wo nirali jahan mein jaan-baKHta khilaDi

    jua bhi ye but jo khelte hain to dil ki kauDi uchhaalte hain

    junun ki bad-namiyan hain jitni hum aap ai 'shad' uTha rahe hain

    na thonpne kohkan ke sar hain na qais-o-wamiq pe Dhaalte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now