KHuda hua na koi aur hi gawah hua
ḳhudā huā na koī aur hī gavāh huā
likhā jo harf to hone kā ishtibāh huā
navāh-e-ishq talak khīñchtī ga.ī ḳhushbū
ik aisā gul mirī sāñsoñ pe iftitāh huā
ye kyā havas hai ki miltā mujhe ziyāda vo
mire liye to vo itnā bhī be-panāh huā
ajiib kiyā hai ki tum se nahīñ nibhī merī
mirā to ḳhud se bhī kam hī kabhī nibāh huā
kabhī kabhī tire dil tak pahuñch gayā mirā dard
kabhī huā to yahī ishq meñ gunāh huā
kisī bhī rañg meñ khiñchtī na thī mirī tasvīr
maiñ ban gayā koī kāġhaz agar siyāh huā
KHuda hua na koi aur hi gawah hua
likha jo harf to hone ka ishtibah hua
nawah-e-ishq talak khinchti gai KHushbu
ek aisa gul meri sanson pe iftitah hua
ye kya hawas hai ki milta mujhe ziyaada wo
mere liye to wo itna bhi be-panah hua
ajib kiya hai ki tum se nahin nibhi meri
mera to KHud se bhi kam hi kabhi nibah hua
kabhi kabhi tere dil tak pahunch gaya mera dard
kabhi hua to yahi ishq mein gunah hua
kisi bhi rang mein khinchti na thi meri taswir
main ban gaya koi kaghaz agar siyah hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.