KHuda jaane dil ko mere kya hua hai
ḳhudā jaane dil ko mire kyā huā hai
tumhīñ se ḳhafā hai tumhīñ par fidā hai
taġhāful hī anjām se apne behtar
tirī be-ruḳhī se mirī ibtidā hai
maiñ ḳhud ma.anī-e-husn huuñ ai sitamgar
magar kuchh judā.ī meñ terī mazā hai
mirā dil hai markaz tumhāre sitam kā
kisī par kiyā tum ne mujh par huā hai
maiñ is daur-e-hastī meñ vo dā.era huuñ
ki har intihā par mirī ibtidā hai
na kuchh kah sakā maiñ na samjhe vahī kuchh
bahut der sochā ki kyā mudda.ā hai
mujhe apne hone ke haiñ laakh shikve
kiyā tum se shikva ye apnā gila hai
hai mardūd-e-dair aur ka.abe se fāriġh
na momin na kāfir ye dil kyā balā hai
maiñ har falsafe kī haqīqat huuñ 'maikash'
maiñ jis meñ nahīñ falsafa hī vo kyā hai
KHuda jaane dil ko mere kya hua hai
tumhin se KHafa hai tumhin par fida hai
taghaful hi anjam se apne behtar
teri be-ruKHi se meri ibtida hai
main KHud mani-e-husn hun ai sitamgar
magar kuchh judai mein teri maza hai
mera dil hai markaz tumhaare sitam ka
kisi par kiya tum ne mujh par hua hai
main is daur-e-hasti mein wo daera hun
ki har intiha par meri ibtida hai
na kuchh kah saka main na samjhe wahi kuchh
bahut der socha ki kya muddaa hai
mujhe apne hone ke hain lakh shikwe
kiya tum se shikwa ye apna gila hai
hai mardud-e-dair aur kabe se farigh
na momin na kafir ye dil kya bala hai
main har falsafe ki haqiqat hun 'maikash'
main jis mein nahin falsafa hi wo kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.