Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHuda jaane nawa-e-be-fughan se kaun guzra hai

Salik Lakhnavi

KHuda jaane nawa-e-be-fughan se kaun guzra hai

Salik Lakhnavi

MORE BYSalik Lakhnavi

    ḳhudā jaane navā-e-be-fuġhāñ se kaun guzrā hai

    ba-ḳhāmoshī hamārī dāstāñ se kaun guzrā hai

    nadāmat lāla-o-gul pareshāñ bū-e-pairāhan

    hameñ ma.alūm hai is gulsitāñ se kaun guzrā hai

    thī me.arāj-e-mohabbat urūj-e-azmat-e-insāñ

    farishte chup makān-o-lā-makāñ se kaun guzrā hai

    shikasta naav shab tārīk sāhil duur tūfāñ tez

    magar bā-īñ-hama mauj-e-ravāñ se kaun guzrā hai

    ye kis ābla-pā.ī se ḳhār-o-sang haiñ gul-gūñ

    talab raah meñ har imtihāñ se kaun guzrā hai

    liye apnī jabīñ par muztarib sajdoñ nazrāna

    pa.e-yak-āstāñ har āstāñ se kaun guzrā hai

    hamāre baad bhī jo aane vaale haiñ vo pūchheñge

    ye haiñ naqsh-e-qadam kis ke yahāñ se kaun guzrā hai

    KHuda jaane nawa-e-be-fughan se kaun guzra hai

    ba-KHamoshi hamari dastan se kaun guzra hai

    nadamat lala-o-gul ki pareshan bu-e-pairahan

    hamein malum hai is gulsitan se kaun guzra hai

    thi mearaj-e-mohabbat ya uruj-e-azmat-e-insan

    farishte chup makan-o-la-makan se kaun guzra hai

    shikasta naw shab tarik sahil dur tufan tez

    magar ba-in-hama mauj-e-rawan se kaun guzra hai

    ye kis ki aabla-pai se KHar-o-sang hain gul-gun

    talab ki rah mein har imtihan se kaun guzra hai

    liye apni jabin par muztarib sajdon ka nazrana

    pae-yak-astan har aastan se kaun guzra hai

    hamare baad bhi jo aane wale hain wo puchhenge

    ye hain naqsh-e-qadam kis ke yahan se kaun guzra hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now