KHuda jaane wo kyunkar is qadar hum ko satate hain
KHuda jaane wo kyunkar is qadar hum ko satate hain
Meem Maroof Ashraf
MORE BYMeem Maroof Ashraf
ḳhudā jaane vo kyūñkar is qadar ham ko satāte haiñ
sitam phir ye ki phir vo hī hamāre man ko bhāte haiñ
yahī dastūr hai shāyad zamāne kī mohabbat kā
jise ham pyaar karte haiñ vahī dil ko dukhāte haiñ
sañbhal kar baiThnā tum imtihān-e-‘ishq meñ sāhib
ye vo parcha hai jis meñ log aksar maat khāte haiñ
riyāzī falsafa science ye bhī Thiik hai lekin
kahāñ ham apne bachchoñ ko magar urdu sikhāte haiñ
vo kaise log haiñ jo chaar din bas 'ishq karte haiñ
phir us ke baa'd saare rishte-nāte bhuul jaate haiñ
kahāñ ab vo bhī ham ko vaqt dete haiñ bahut 'ashraf'
so ham bhī shaam ko ghar jaldī vāpas lauT aate haiñ
KHuda jaane wo kyunkar is qadar hum ko satate hain
sitam phir ye ki phir wo hi hamare man ko bhate hain
yahi dastur hai shayad zamane ki mohabbat ka
jise hum pyar karte hain wahi dil ko dukhate hain
sanbhal kar baiThna tum imtihan-e-‘ishq mein sahib
ye wo parcha hai jis mein log aksar mat khate hain
riyazi falsafa science ye bhi Thik hai lekin
kahan hum apne bachchon ko magar urdu sikhate hain
wo kaise log hain jo chaar din bas 'ishq karte hain
phir us ke ba'd sare rishte-nate bhul jate hain
kahan ab wo bhi hum ko waqt dete hain bahut 'ashraf'
so hum bhi sham ko ghar jaldi wapas lauT aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.