KHuda ka ishaara hai donon taraf
ḳhudā kā ishāra hai donoñ taraf
diloñ ne pukārā hai donoñ taraf
jidhar dekhiye ret hī ret hai
nadī kā kinārā hai donoñ taraf
yahāñ chāhateñ haiñ vahāñ nafrateñ
ajab hī nazārā hai donoñ taraf
kisī ko kisī se shikāyat nahīñ
sabhī kuchh gavāra hai donoñ taraf
'kiran' priit yā riit meñ ik chuno
ye kyoñ dil tumhārā hai donoñ taraf
KHuda ka ishaara hai donon taraf
dilon ne pukara hai donon taraf
jidhar dekhiye ret hi ret hai
nadi ka kinara hai donon taraf
yahan chahaten hain wahan nafraten
ajab hi nazara hai donon taraf
kisi ko kisi se shikayat nahin
sabhi kuchh gawara hai donon taraf
'kiran' prit ya rit mein ek chuno
ye kyon dil tumhaara hai donon taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.