KHuda ka shukr ada subh-o-sham karte hain
KHuda ka shukr ada subh-o-sham karte hain
Inayatullah Raushan Badauni
MORE BYInayatullah Raushan Badauni
ḳhudā kā shukr adā sub.h-o-shām karte haiñ
jo ḳhaas bande haiñ vo ḳhaas kaam karte haiñ
ḳhudā-parast samajhte haiñ farz ḳhidmat-e-ḳhalq
rifāh-e-ām meñ koshish mudām karte haiñ
ḳhudā kī raah meñ hāzir haiñ bandagān-e-ḳhudā
bashar haiñ par ye farishtoñ ke kaam karte haiñ
jo kār-e-ḳhair meñ rahte haiñ raat din mashġhūl
vahī bahisht meñ jā kar qiyām karte haiñ
yahāñ ham aa.e haiñ kyoñ jin ko ye ḳhayāl nahīñ
fuzūl umr vo apnī tamām karte haiñ
kahāñ hai qaisar o qasr-e-buland-bām kahāñ
yahāñ jo aate haiñ chande qiyām karte haiñ
jo āsmāñ se na jhukte the dekhe ai ġhāfil
tah-e-zamīñ vo lahad meñ maqām karte haiñ
suḳhan nahīñ pa.e-tasḳhīr-e-dil ye sehr-e-bayāñ
zabān-e-ġhaib se goyā kalām karte haiñ
mufīd-e-ām suḳhan ho ye shart hai 'raushan'
ki is kī qadr ḳhud ahl-e-kalām karte haiñ
KHuda ka shukr ada subh-o-sham karte hain
jo KHas bande hain wo KHas kaam karte hain
KHuda-parast samajhte hain farz KHidmat-e-KHalq
rifah-e-am mein koshish mudam karte hain
KHuda ki rah mein hazir hain bandagan-e-KHuda
bashar hain par ye farishton ke kaam karte hain
jo kar-e-KHair mein rahte hain raat din mashghul
wahi bahisht mein ja kar qiyam karte hain
yahan hum aae hain kyon jin ko ye KHayal nahin
fuzul umr wo apni tamam karte hain
kahan hai qaisar o qasr-e-buland-baam kahan
yahan jo aate hain chande qiyam karte hain
jo aasman se na jhukte the dekhe ai ghafil
tah-e-zamin wo lahad mein maqam karte hain
suKHan nahin pae-tasKHir-e-dil ye sehr-e-bayan
zaban-e-ghaib se goya kalam karte hain
mufid-e-am suKHan ho ye shart hai 'raushan'
ki is ki qadr KHud ahl-e-kalam karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.