KHuda ka shukr hai koi bichhaD kar lauT aaya hai
ḳhudā kā shukr hai koī bichhaḌ kar lauT aayā hai
zamāne bhar ke afsāne bhī apne saath laayā hai
ta.āruf ho to maiñ tum ko batā.ūñ us ke baare meñ
ki jis kī yaad ne mujh ko satāyā hai rulāyā hai
sunā to hai ki merā naam sun kar vo but-e-kāfir
zarā sā gungunāyā hai bahut sā muskurāyā hai
mohabbat muḳhtalif andāz se kartā rahā hai vo
kabhī us ne girāyā hai kabhī us ne uThāyā hai
kisī ko apnī nākāmī kā kaise dosh duuñ 'jāzib'
mirī āvārgī ne hī mujhe ye din dikhāyā hai
KHuda ka shukr hai koi bichhaD kar lauT aaya hai
zamane bhar ke afsane bhi apne sath laya hai
taaruf ho to main tum ko bataun us ke bare mein
ki jis ki yaad ne mujh ko sataya hai rulaya hai
suna to hai ki mera nam sun kar wo but-e-kafir
zara sa gungunaya hai bahut sa muskuraya hai
mohabbat muKHtalif andaz se karta raha hai wo
kabhi us ne giraya hai kabhi us ne uThaya hai
kisi ko apni nakaami ka kaise dosh dun 'jazib'
meri aawargi ne hi mujhe ye din dikhaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.