KHuda kah kah ke jis par jaan ware ja rahe hain
ḳhudā kah kah ke jis par jaan vaare jā rahe haiñ
na jaane kaun hai kis ko pukāre jā rahe haiñ
ye kyā kam hai ki zinda hai tumhāre ba.ad bhī ham
ki is pe hijr ke ye din guzāre jā rahe haiñ
kisī jānib se tum bhī do hameñ āvāz jānāñ
hamīñ tum ko añdhere meñ pukāre jā rahe haiñ
ba-juz ik jañg ke phir jītne ko kyā rahegā
junūn-e-jañg meñ īmān haare jā rahe haiñ
kahāñ ab jā ke ham baiTheñge ro.eñge hañseñge
sunā hai ye khañDar saare sañvāre jā rahe haiñ
mujhe in rat-jagoñ se to pareshānī nahīñ hai
yahī ġham hai ki mere ḳhvāb maare jā rahe haiñ
kisī dariyā meñ ham Thahre hue ye dekhte haiñ
baḌī raftār se donoñ kināre jā rahe haiñ
chalo is raat kā qissa huā ab ḳhatm yaaro
thake-hāre hue shab ke sitāre jā rahe haiñ
KHuda kah kah ke jis par jaan ware ja rahe hain
na jaane kaun hai kis ko pukare ja rahe hain
ye kya kam hai ki zinda hai tumhaare baad bhi hum
ki is pe hijr ke ye din guzare ja rahe hain
kisi jaanib se tum bhi do hamein aawaz jaanan
hamin tum ko andhere mein pukare ja rahe hain
ba-juz ek jang ke phir jitne ko kya rahega
junun-e-jang mein iman haare ja rahe hain
kahan ab ja ke hum baiThenge roenge hansenge
suna hai ye khanDar sare sanware ja rahe hain
mujhe in rat-jagon se to pareshani nahin hai
yahi gham hai ki mere KHwab mare ja rahe hain
kisi dariya mein hum Thahre hue ye dekhte hain
baDi raftar se donon kinare ja rahe hain
chalo is raat ka qissa hua ab KHatm yaro
thake-haare hue shab ke sitare ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.