KHuda kare rahe jari payam-e-yar nisar
ḳhudā kare rahe jaarī payām-e-yār nisār
ki tere ba.ad ye hai terī yādgār nisār
kisī kī bhī nahīñ sunte haiñ aaj yaar nisār
hazār koī pukārā kare nisār nisār
chhalakte jaam haiñ hūreñ haiñ bāġh-e-jannat hai
uḌā rahe haiñ maze kyā tah-e-mazār nisār
dam-e-aḳhīr kuchh is tarah pher liiñ āñkheñ
na the zamāne meñ goyā kisī ke yaar nisār
ravā-ravī meñ utāre na aks bhī utrā
havā ke ghoḌe par aa.e the kyā savār nisār
ye us kī shān-e-karīmī nisār ko baḳhshā
hazār baar fidā haiñ hazār baar nisār
bichhaḌne vaalo kabhī tum na chhoḌnā dāman
chale haiñ lūTne firdaus kī bahār nisār
abhī ye phuuT ke ro.e na luuñ jo zabt se kaam
bharī hai mujh se bahut chashm-e-ashk-e-bār nisār
'riyāz' fātiha paḌhne na tum ga.e ab tak
tumhāre vāste haiñ mahv-e-intizār nisār
KHuda kare rahe jari payam-e-yar nisar
ki tere baad ye hai teri yaadgar nisar
kisi ki bhi nahin sunte hain aaj yar nisar
hazar koi pukara kare nisar nisar
chhalakte jam hain huren hain bagh-e-jannat hai
uDa rahe hain maze kya tah-e-mazar nisar
dam-e-aKHir kuchh is tarah pher lin aankhen
na the zamane mein goya kisi ke yar nisar
rawa-rawi mein utare na aks bhi utra
hawa ke ghoDe par aae the kya sawar nisar
ye us ki shan-e-karimi nisar ko baKHsha
hazar bar fida hain hazar bar nisar
bichhaDne walo kabhi tum na chhoDna daman
chale hain luTne firdaus ki bahaar nisar
abhi ye phuT ke roe na lun jo zabt se kaam
bhari hai mujh se bahut chashm-e-ashk-e-bar nisar
'riyaz' fatiha paDhne na tum gae ab tak
tumhaare waste hain mahw-e-intizar nisar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.