KHuda karim hai itna karam hi farmae
ḳhudā karīm hai itnā karam hī farmā.e
maiñ us ko bhūlnā chāhūñ vo mujh ko yaad aa.e
fazā meñ nuur havāoñ meñ us kī ḳhushbū hai
Thahar ai vaqt ki jān-e-bahār aa jaa.e
vafā ḳhulūs-o-mohabbat kī ye amānat hai
ġham-e-hayāt kī surḳhī jabīñ pe lahrā.e
tumhārī chaah tarab-ḳhez vādiyoñ kā safar
hamāre saath haiñ mahrūmiyoñ ke sarmā.e
girā ke barq jalāyā hai āshiyāñ dil kā
tire laboñ pe tabassum kuchh aise lahrā.e
kahāñ misāl hai raushan jamāl kī 'nashtar'
badan ko chhū ke jise chāñdnī bhī sharmā.e
KHuda karim hai itna karam hi farmae
main us ko bhulna chahun wo mujh ko yaad aae
faza mein nur hawaon mein us ki KHushbu hai
Thahar ai waqt ki jaan-e-bahaar aa jae
wafa KHulus-o-mohabbat ki ye amanat hai
gham-e-hayat ki surKHi jabin pe lahrae
tumhaari chah tarab-KHez wadiyon ka safar
hamare sath hain mahrumiyon ke sarmae
gira ke barq jalaya hai aashiyan dil ka
tere labon pe tabassum kuchh aise lahrae
kahan misal hai raushan jamal ki 'nashtar'
badan ko chhu ke jise chandni bhi sharmae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.