KHuda ke aage jab fariyaad rakhna
ḳhudā ke aage jab fariyād rakhnā
duāoñ meñ hameñ bhī yaad rakhnā
hamīñ ko sochnā rātoñ meñ aksar
havelī yaad kī ābād rakhnā
koī mushkil agar ho shā.irī meñ
to phir usmān sā ustād rakhnā
gavāhī ek ho ḳhālī ḳhudā kī
kisī kaae meñ jab imdād rakhnā
sabaq paḌhnā agar tum zindagī ke
hamesha vaqt ko ustād rakhnā
chale ho tum ye kyā ījād karne
koī āsāñ nahīñ buniyād rakhnā
KHuda ke aage jab fariyaad rakhna
duaon mein hamein bhi yaad rakhna
hamin ko sochna raaton mein aksar
haweli yaad ki aabaad rakhna
koi mushkil agar ho shairi mein
to phir usman sa ustad rakhna
gawahi ek ho KHali KHuda ki
kisi kae mein jab imdad rakhna
sabaq paDhna agar tum zindagi ke
hamesha waqt ko ustad rakhna
chale ho tum ye kya ijad karne
koi aasan nahin buniyaad rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.