KHuda ke nam se aaghaz har ek kaam karte hain
ḳhudā ke naam se āġhāz har ik kaam karte haiñ
munavvar is tarah ham apnī sub.h-o-shām karte haiñ
musalsal āñdhiyoñ meñ jo jalāte haiñ charāġh apnā
vahī be-shak jahāñ meñ apnā raushan naam karte haiñ
unhīñ bachchoñ ko laḌnā hai sitam kī dhuup se ik din
abhī jo māmtā kī chhāñv meñ ārām karte haiñ
adāvat ke sulagte manzaroñ ke darmiyāñ rah kar
mohabbat ke hasīñ jazbāt ko ham aam karte haiñ
jo ḳhud ko bech dete haiñ bikā.ū maal kī sūrat
vahī apne qalam kī aabrū nīlām karte haiñ
gharoñ meñ aag nafrat kī lagā kar vo 'sa.īd' aksar
hamārī zaat hī ko morid-e-ilzām karte haiñ
KHuda ke nam se aaghaz har ek kaam karte hain
munawwar is tarah hum apni subh-o-sham karte hain
musalsal aandhiyon mein jo jalate hain charagh apna
wahi be-shak jahan mein apna raushan nam karte hain
unhin bachchon ko laDna hai sitam ki dhup se ek din
abhi jo mamta ki chhanw mein aaram karte hain
adawat ke sulagte manzaron ke darmiyan rah kar
mohabbat ke hasin jazbaat ko hum aam karte hain
jo KHud ko bech dete hain bikau mal ki surat
wahi apne qalam ki aabru nilam karte hain
gharon mein aag nafrat ki laga kar wo 'said' aksar
hamari zat hi ko morid-e-ilzam karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.