KHuda ke waste ek bar to chale aao
ḳhudā ke vāste ik baar to chale aao
tumhārī raah meñ āñkheñ bichhā rahā hai koī
maiñ jaam kaise uThā.ūñ bhalā ai bāda-kasho
nigāh-e-nāz se mujh ko pilā rahā hai koī
guloñ pe qatra-e-shabnam nahīñ haqīqat meñ
kisī kī yaad meñ aañsū bahā rahā hai koī
chalo vahīñ pe abhī jā ke ham bhī bas jaa.eñ
sunā hai pyaar kī duniyā basā rahā hai koī
hamārī shīr-o-shakar kī tarah mohabbat meñ
lo aaj zahr-e-adāvat milā rahā hai koī
kisī ko ḳhauf-e-jahannam jahāñ meñ hai 'zaḳhmī'
isī jahān ko jannat banā rahā hai koī
KHuda ke waste ek bar to chale aao
tumhaari rah mein aankhen bichha raha hai koi
main jam kaise uThaun bhala ai baada-kasho
nigah-e-naz se mujh ko pila raha hai koi
gulon pe qatra-e-shabnam nahin haqiqat mein
kisi ki yaad mein aansu baha raha hai koi
chalo wahin pe abhi ja ke hum bhi bas jaen
suna hai pyar ki duniya basa raha hai koi
hamari shir-o-shakar ki tarah mohabbat mein
lo aaj zahr-e-adawat mila raha hai koi
kisi ko KHauf-e-jahannam jahan mein hai 'zaKHmi'
isi jahan ko jannat bana raha hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.