KHuda ki be-ruKHi par ro rahi hai
ḳhudā kī be-ruḳhī par ro rahī hai
duā mujh se lipaT kar ro rahī hai
makīñ koī nahīñ hai ghar meñ lekin
kisī kī ruuh andar ro rahī hai
ġhazal māyūs ho kar har jagah se
khaḌī hai mere dar par ro rahī hai
nadī kī pyaas kā ġham kaun samjhe
samundar-dar-samundar ro rahī hai
mohabbat ko koī ghar de ḳhudāyā
bechārī aaj dar-dar ro rahī hai
KHuda ki be-ruKHi par ro rahi hai
dua mujh se lipaT kar ro rahi hai
makin koi nahin hai ghar mein lekin
kisi ki ruh andar ro rahi hai
ghazal mayus ho kar har jagah se
khaDi hai mere dar par ro rahi hai
nadi ki pyas ka gham kaun samjhe
samundar-dar-samundar ro rahi hai
mohabbat ko koi ghar de KHudaya
bechaari aaj dar-dar ro rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.