KHuda ki mujh pe nusrat ho rahi hai
ḳhudā kī mujh pe nusrat ho rahī hai
ġhazal kahne pe qudrat ho rahī hai
jise dekho vahī talvār sā hai
mohabbat ab ġhanīmat ho rahī hai
duā de kar gayā thā ek saa.il
mirī roTī meñ barakat ho rahī hai
sila bas ye milā tark-e-vatan kā
hamārī ghar meñ vaq.at ho rahī hai
vo sab se mil rahā hai itnā jhuk kar
jahāñ jitnī zarūrat ho rahī hai
gul-o-gulzār sho.ale ho rahe haiñ
haqīqat mahv-e-hairat ho rahī hai
'qalaq' lab par tabassum dil meñ kiina
pas-e-ulfat adāvat ho rahī hai
KHuda ki mujh pe nusrat ho rahi hai
ghazal kahne pe qudrat ho rahi hai
jise dekho wahi talwar sa hai
mohabbat ab ghanimat ho rahi hai
dua de kar gaya tha ek sail
meri roTi mein barakat ho rahi hai
sila bas ye mila tark-e-watan ka
hamari ghar mein waqat ho rahi hai
wo sab se mil raha hai itna jhuk kar
jahan jitni zarurat ho rahi hai
gul-o-gulzar shoale ho rahe hain
haqiqat mahw-e-hairat ho rahi hai
'qalaq' lab par tabassum dil mein kina
pas-e-ulfat adawat ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.