KHuda ki mujh pe rahmat ho gai to
ḳhudā kī mujh pe rahmat ho ga.ī to
tumheñ bhī mujh se ulfat ho ga.ī to
mohabbat ko qayāmat kah rahe ho
kisī din ye qayāmat ho ga.ī to
mujhe dil kī sharāfat par yaqīñ hai
nigāhoñ se sharārat ho ga.ī to
chhuḌā kar haath apnā jaane vaalo
tumheñ merī zarūrat ho ga.ī to
dukhāo be-sabab mat dil kisī kā
kahīñ nārāz qudrat ho ga.ī to
KHuda ki mujh pe rahmat ho gai to
tumhein bhi mujh se ulfat ho gai to
mohabbat ko qayamat kah rahe ho
kisi din ye qayamat ho gai to
mujhe dil ki sharafat par yaqin hai
nigahon se shararat ho gai to
chhuDa kar hath apna jaane walo
tumhein meri zarurat ho gai to
dukhao be-sabab mat dil kisi ka
kahin naraaz qudrat ho gai to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.