KHuda ki rah mein qurban ki hai zindagi maine
ḳhudā kī raah meñ qurbān kī hai zindagī maiñ ne
ye vo ġham hai ki is ġham par luTā.ī har ḳhushī maiñ ne
havāoñ meñ jalāyā hai charāġh-e-zindagī maiñ ne
charāġh-e-zindagī ko dil se dī hai raushnī maiñ ne
abhī khiñchne na paa.ī thī ki sahbā taak lī maiñ ne
koī piine na paayā thā ki pī aur ḳhuub pī maiñ ne
vahī tashbīh dī tū ne vahī tashbīh dī maiñ ne
rahegā zaat meñ kyā jab sifat hī chhīn lī maiñ ne
samajhtā huuñ tujhe dekhā tujhe puujā ḳhabar kyā thī
tire ā.īne meñ apnī hī sūrat dekh lī maiñ ne
mire maslak meñ ḳhud ko bhūlnā haq ko bhulānā hai
ḳhudā-dānī ko paayā mā’nī-e-kHud-āgahī maiñ ne
mire pesh-e-nazar ā.īna-ḳhāne kī haqīqat hai
hazāroñ aur lākhoñ meñ bhī dekhā ek hī maiñ ne
ye ‘aks-o-ā.ina zī-sūrat o sūrat kī vahdat bhī
samajhne aur samjhāne kī bāteñ jo haiñ kī maiñ ne
harīm-e-kibriyā meñ bāryābī un ko kyā hogī
harīm-e-dil meñ dekhī hai diloñ kī nārasī maiñ ne
KHuda ki rah mein qurban ki hai zindagi main ne
ye wo gham hai ki is gham par luTai har KHushi main ne
hawaon mein jalaya hai charagh-e-zindagi main ne
charagh-e-zindagi ko dil se di hai raushni main ne
abhi khinchne na pai thi ki sahba tak li main ne
koi pine na paya tha ki pi aur KHub pi main ne
wahi tashbih di tu ne wahi tashbih di main ne
rahega zat mein kya jab sifat hi chhin li main ne
samajhta hun tujhe dekha tujhe puja KHabar kya thi
tere aaine mein apni hi surat dekh li main ne
mere maslak mein KHud ko bhulna haq ko bhulana hai
KHuda-dani ko paya ma’ni-e-kHud-agahi main ne
mere pesh-e-nazar aaina-KHane ki haqiqat hai
hazaron aur lakhon mein bhi dekha ek hi main ne
ye ‘aks-o-aina zi-surat o surat ki wahdat bhi
samajhne aur samjhane ki baaten jo hain ki main ne
harim-e-kibriya mein baryabi un ko kya hogi
harim-e-dil mein dekhi hai dilon ki narasi main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.