KHuda ko aazmana chahiye tha
ḳhudā ko āzmānā chāhiye thā
kisī kā dil dukhānā chāhiye thā
dukāneñ shahr meñ saarī na.ī thiiñ
hameñ sab kuchh purānā chāhiye thā
nazariye falsafe apnī jagah haiñ
hameñ shādī meñ jaanā chāhiye thā
takalluf roz-roz achchhā nahīñ hai
galī meñ bhī nahānā chāhiye thā
vo dil meñ thī ki ghar meñ aag to thī
paḌosī ko batānā chāhiye thā
KHuda ko aazmana chahiye tha
kisi ka dil dukhana chahiye tha
dukanen shahr mein sari nai thin
hamein sab kuchh purana chahiye tha
nazariye falsafe apni jagah hain
hamein shadi mein jaana chahiye tha
takalluf roz-roz achchha nahin hai
gali mein bhi nahana chahiye tha
wo dil mein thi ki ghar mein aag to thi
paDosi ko batana chahiye tha
- Book : lafz magazine (Pg. february-2013)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.