KHuda ko KHud pe jo ghaalib samajh nahin sakta
ḳhudā ko ḳhud pe jo ġhālib samajh nahīñ saktā
vo ‘ilm-e-haq ke matālib samajh nahīñ saktā
vo hai sanam-kadā-e-mumkināt meñ aazar
jo rāz-e-hastī-e-vājib samajh nahīñ saktā
jo vahm-e-ġhair meñ hai apne aap se mahjūb
hai ḳhud hijāb ki hājib samajh nahīñ saktā
samajh rahā hai jo ‘aql-e-shikasta-pā ko ḳhizr
junūñ ke jāh-o-manāsib samajh nahīñ saktā
kalām-e-haq kī sifat hai 'zahīn' merā kalām
na ho ḳhudā kā jo tālib samajh nahīñ saktā
ḳhudā hai fahm se baalā samajh nahīñ saktā
samajh rahā hai jo samjhā samajh nahīñ saktā
guzar 'zahīn' ke dil meñ nahīñ huā jis kā
ḳhudā ke dil kī tamannā samajh nahīñ saktā
KHuda ko KHud pe jo ghaalib samajh nahin sakta
wo ‘ilm-e-haq ke matalib samajh nahin sakta
wo hai sanam-kada-e-mumkinat mein aazar
jo raaz-e-hasti-e-wajib samajh nahin sakta
jo wahm-e-ghair mein hai apne aap se mahjub
hai KHud hijab ki hajib samajh nahin sakta
samajh raha hai jo ‘aql-e-shikasta-pa ko KHizr
junun ke jah-o-manasib samajh nahin sakta
kalam-e-haq ki sifat hai 'zahin' mera kalam
na ho KHuda ka jo talib samajh nahin sakta
KHuda hai fahm se baala samajh nahin sakta
samajh raha hai jo samjha samajh nahin sakta
guzar 'zahin' ke dil mein nahin hua jis ka
KHuda ke dil ki tamanna samajh nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.