KHuda malum jab ghunche hanse shabnam pe kya guzri
ḳhudā ma.alūm jab ġhunche hañse shabnam pe kyā guzrī
tabassum kī fazā meñ dīda-e-pur-nam pe kyā guzrī
jalī shāḳh-e-nasheman tak nasheman kī rifāqat meñ
patā kyā bijliyoñ ko ham-safīro ham pe kyā guzrī
na paayā farq asīrī aur āzādī meñ jab koī
kahūñ kyā us ghaḌī apne Dil-e-pur-ġham pe kyā guzrī
azīz-e-misr kyā jaane ye pūchho pīr-e-kan.āñ se
ki furqat meñ pisar kī dīda-e-pur-nam pe kyā guzrī
use mahsūs kar saktā bhalā kyā zauq-e-iblīsī
ki jannat se nikalne meñ dil-e-ādam pe kyā guzrī
nasheman kī na chhoḌī ḳhaak bhī barq-e-havādis ne
ye manzar dekh kar ham kyā batā.eñ ham pe kyā guzrī
na suljhe tum ne suljhāne ko vaise laakh suljhāyā
mirī vahshat se dekho gesū-e-barham pe kyā guzrī
jo ho be-dard us ko dard kā ehsās kyūñkar ho
sitamgar kī balā jaane sitam se ham pe kyā guzrī
ġham-e-jānāñ hī kyā kam thā ġham-e-daurāñ bhī apnāyā
ḳhudā jaane asīr-e-gesu-e-pur-ḳham pe kyā guzrī
hamārī ek jur.at ne jo zauq-e-zindagī badlā
batā.eñ kyā dil-e-nā-āshnā-e-ġham pe kyā guzrī
sabab yārān-e-sāhil ai 'nazīr'-e-zār kyā jāneñ
ki tūfān-e-balā meñ Dūbtoñ ke dam pe kyā guzrī
KHuda malum jab ghunche hanse shabnam pe kya guzri
tabassum ki faza mein dida-e-pur-nam pe kya guzri
jali shaKH-e-nasheman tak nasheman ki rifaqat mein
pata kya bijliyon ko ham-safiro hum pe kya guzri
na paya farq asiri aur aazadi mein jab koi
kahun kya us ghaDi apne Dil-e-pur-gham pe kya guzri
aziz-e-misr kya jaane ye puchho pir-e-kanan se
ki furqat mein pisar ki dida-e-pur-nam pe kya guzri
use mahsus kar sakta bhala kya zauq-e-iblisi
ki jannat se nikalne mein dil-e-adam pe kya guzri
nasheman ki na chhoDi KHak bhi barq-e-hawadis ne
ye manzar dekh kar hum kya bataen hum pe kya guzri
na suljhe tum ne suljhane ko waise lakh suljhaya
meri wahshat se dekho gesu-e-barham pe kya guzri
jo ho be-dard us ko dard ka ehsas kyunkar ho
sitamgar ki bala jaane sitam se hum pe kya guzri
gham-e-jaanan hi kya kam tha gham-e-dauran bhi apnaya
KHuda jaane asir-e-gesu-e-pur-KHam pe kya guzri
hamari ek jurat ne jo zauq-e-zindagi badla
bataen kya dil-e-na-ashna-e-gham pe kya guzri
sabab yaran-e-sahil ai 'nazir'-e-zar kya jaanen
ki tufan-e-bala mein Dubton ke dam pe kya guzri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.