KHuda malum kaisa sehr tha is but ki chitwan mein
Interesting Fact
1912
ḳhudā ma.alūm kaisā sehr thā is but kī chitvan meñ
chale jaatī haiñ ab tak chashmakeñ shaiḳh-o-barahman meñ
chhupeñge kyā asīrān-e-balā sahrā ke dāman meñ
mohabbat daam kī phir khīñch kar lā.egī gulshan meñ
hijāb uTThā zamīñ se āsmāñ tak chāñdnī chhiTkī
gahan meñ chāñd thā jab tak chhupe baiThe the chilman meñ
kanakhiyoñ se jo ham ko bazm meñ tum dekh lete ho
khaTak jaate haiñ kāñTe kī tarah ham-chashm-e-dushman meñ
kanār-e-ābjū baiThe haiñ mast-e-nik.hat-e-sāġhar
nazar sū-e-falak aur haath hai miinā kī gardan meñ
galā ghuTne lagā ab tañg aayā huuñ garebāñ se
junūñ ne vaah kyā phāñsī lagā.ī merī gardan meñ
bahut dast-e-junūñ ne gudgudāyā jab to kyā karte
utārīñ beḌiyāñ aur pahne duhre tauq gardan meñ
batāo sair-e-sahrā kī koī tadbīr vahshī ko
garebāñ meñ to haath uljhā phañsā hai paañv dāman meñ
milā de ḳhaak meñ ai charḳh is ujḌe hue ghar ko
ki apnī ruuh tak bechain hai ab ḳhāna-e-tan meñ
thake-māñde safar ke so rahe haiñ paañv phailā.e
ye sab mar mar ke pahuñche haiñ baḌī mushkil se madfan meñ
jo har-dam jhāñkte the rauzan-e-dīvār-e-zindāñ se
unheñ phir chain aayā kis tarah tārīk madfan meñ
kise ma.alūm dāġh-e-ātishīñ se dil pe kyā guzrī
sidhāre ThanDe ThanDe sauñp kar sab ham ko madfan meñ
kujā muusā kujā maqsūd sub.hānallazī-asrā
ragaḌ kar eḌiyāñ bas rah ga.e vādī-e-aiman meñ
hijāb-e-nāz be-jā 'yās' jis din beach meñ aayā
usī din se laḌā.ī Than ga.ī shaiḳh-o-barahman meñ
KHuda malum kaisa sehr tha is but ki chitwan mein
chale jati hain ab tak chashmaken shaiKH-o-barahman mein
chhupenge kya asiran-e-bala sahra ke daman mein
mohabbat dam ki phir khinch kar laegi gulshan mein
hijab uTTha zamin se aasman tak chandni chhiTki
gahan mein chand tha jab tak chhupe baiThe the chilman mein
kanakhiyon se jo hum ko bazm mein tum dekh lete ho
khaTak jate hain kanTe ki tarah ham-chashm-e-dushman mein
kanar-e-abju baiThe hain mast-e-nikhat-e-saghar
nazar su-e-falak aur hath hai mina ki gardan mein
gala ghuTne laga ab tang aaya hun gareban se
junun ne wah kya phansi lagai meri gardan mein
bahut dast-e-junun ne gudgudaya jab to kya karte
utarin beDiyan aur pahne duhre tauq gardan mein
batao sair-e-sahra ki koi tadbir wahshi ko
gareban mein to hath uljha phansa hai panw daman mein
mila de KHak mein ai charKH is ujDe hue ghar ko
ki apni ruh tak bechain hai ab KHana-e-tan mein
thake-mande safar ke so rahe hain panw phailae
ye sab mar mar ke pahunche hain baDi mushkil se madfan mein
jo har-dam jhankte the rauzan-e-diwar-e-zindan se
unhen phir chain aaya kis tarah tarik madfan mein
kise malum dagh-e-atishin se dil pe kya guzri
sidhaare ThanDe ThanDe saunp kar sab hum ko madfan mein
kuja musa kuja maqsud subhanallazi-asra
ragaD kar eDiyan bas rah gae wadi-e-aiman mein
hijab-e-naz be-ja 'yas' jis din beach mein aaya
usi din se laDai Than gai shaiKH-o-barahman mein
- Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 144)
- Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi
- Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.