KHuda muaf kare zindagi banate hain
ḳhudā mu'āf kare zindagī banāte haiñ
mire gunāh mujhe aadmī banāte haiñ
havas hai saare jahānoñ pe hukmrānī kī
vo sirf chāñd nahīñ raat bhī banāte haiñ
mire liye to muqaddas haiñ vo sahīfe bhī
jo raushnī ke liye raushnī banāte haiñ
na is hujūm meñ rakkho mujhe ḳhudā ke liye
jo sher kahte nahīñ shā'irī banāte haiñ
tabāh kar to duuñ zāhir-parast duniyā ko
ye aa.ine bhī mire log hī banāte haiñ
maiñ āsmān banātā huuñ merī baat karo
yahāñ to chāñd sitāre sabhī banāte haiñ
maiñ shukriya adā kartā huuñ sab raqīboñ kā
yahī añdhere mujhe raushnī banāte haiñ
KHuda mu'af kare zindagi banate hain
mere gunah mujhe aadmi banate hain
hawas hai sare jahanon pe hukmrani ki
wo sirf chand nahin raat bhi banate hain
mere liye to muqaddas hain wo sahife bhi
jo raushni ke liye raushni banate hain
na is hujum mein rakkho mujhe KHuda ke liye
jo sher kahte nahin sha'iri banate hain
tabah kar to dun zahir-parast duniya ko
ye aaine bhi mere log hi banate hain
main aasman banata hun meri baat karo
yahan to chand sitare sabhi banate hain
main shukriya ada karta hun sab raqibon ka
yahi andhere mujhe raushni banate hain
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 43)
- Author : Nomaan Shauq
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.