KHuda nasib kare jis ko sohbaten meri
ḳhudā nasīb kare jis ko sohbateñ merī
na bhuul paa.e kabhī vo hikāyateñ merī
kahāñ ga.e mirī masrūf sā.atoñ ke rafīq
sadā.eñ detī haiñ ab un ko fursateñ merī
tamām shahr gurezāñ hai aaj kal jaise
kisī ke naam na lag jaa.eñ tohmateñ merī
ḳhudā kā shukr ki maiñ ḳhud-shanās huuñ varna
samajhtā kaun pur-asrār ādateñ merī
maiñ apnī zaat ke sahrā meñ kho gayā 'kausar'
mirī nazar se bhī ojhal haiñ vus.ateñ merī
KHuda nasib kare jis ko sohbaten meri
na bhul pae kabhi wo hikayaten meri
kahan gae meri masruf saaton ke rafiq
sadaen deti hain ab un ko fursaten meri
tamam shahr gurezan hai aaj kal jaise
kisi ke nam na lag jaen tohmaten meri
KHuda ka shukr ki main KHud-shanas hun warna
samajhta kaun pur-asrar aadaten meri
main apni zat ke sahra mein kho gaya 'kausar'
meri nazar se bhi ojhal hain wusaten meri
- Book : mata-e-sukhan (Pg. 286)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.