KHuda ne chaha to sab intizam kar denge
ḳhudā ne chāhā to sab intizām kar deñge
ġhazal pe aa.e to matla' meñ kaam kar deñge
paḌe raheñ to qalandar uTheñ to fitna haiñ
hameñ jagāyā to nīñdeñ harām kar deñge
tumhāre jaise jiye aur kuchh nahīñ kar paa.e
hamāre jaise mare bhī to naam kar deñge
ham aaj bhī haiñ zamīñ par magar yahī Dar hai
ye tabsire hameñ ālī-maqām kar deñge
tum ek 'umr se tamhīd likh rahe ho 'shujā'
ham ek lafz meñ qissa tamām kar deñge
KHuda ne chaha to sab intizam kar denge
ghazal pe aae to matla' mein kaam kar denge
paDe rahen to qalandar uThen to fitna hain
hamein jagaya to ninden haram kar denge
tumhaare jaise jiye aur kuchh nahin kar pae
hamare jaise mare bhi to nam kar denge
hum aaj bhi hain zamin par magar yahi Dar hai
ye tabsire hamein aali-maqam kar denge
tum ek 'umr se tamhid likh rahe ho 'shuja'
hum ek lafz mein qissa tamam kar denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.