KHuda ne husn diya tujhko aur jamal diya
ḳhudā ne husn diyā tujh ko aur jamāl diyā
mujhe jo ishq diyā vo bhī be-misāl diyā
savāl vo ki na thā jis kā koī hal mumkin
mujhe bhī kyā karūñ us ne vahī savāl diyā
har ek haal meñ kartā huuñ rab kā shukr adā
kabhī ḳhushī mujhe baḳhshī kabhī malāl diyā
qur.ān-e-pāk se kuchh aisā mujh ko faiz milā
ke jis ne jahl mire qalb se nikāl diyā
mujhe ḳhatāoñ pe apnī jo sharm aa.ī hai
mire karīm ne merī sazā ko Taal diyā
sukūn-e-qalb mayassar thā mujh ko pahle magar
tumhārī chaah ne to uljhanoñ meñ Daal diyā
koī kamī nahīñ izzat meñ us bashar kī 'azīz'
jise ḳhudā ne kisī ilm meñ kamāl diyā
KHuda ne husn diya tujh ko aur jamal diya
mujhe jo ishq diya wo bhi be-misal diya
sawal wo ki na tha jis ka koi hal mumkin
mujhe bhi kya karun us ne wahi sawal diya
har ek haal mein karta hun rab ka shukr ada
kabhi KHushi mujhe baKHshi kabhi malal diya
quran-e-pak se kuchh aisa mujh ko faiz mila
ke jis ne jahl mere qalb se nikal diya
mujhe KHataon pe apni jo sharm aai hai
mere karim ne meri saza ko Tal diya
sukun-e-qalb mayassar tha mujh ko pahle magar
tumhaari chah ne to uljhanon mein Dal diya
koi kami nahin izzat mein us bashar ki 'aziz'
jise KHuda ne kisi ilm mein kamal diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.