KHuda ne jis ko chaha usne bachche ki tarah zid ki
ḳhudā ne jis ko chāhā us ne bachche kī tarah zid kī
ḳhudā baḳhshish karegā is liye 'iqbāl-sājid' kī
gavāhī degā ik din ḳhud mirā munsif mire haq meñ
dharī rah jā.eñgī saarī dalīleñ mire hāsid kī
vahī jo pahle aayā thā vo sab ke baa'd bhī aayā
usī paikar ne to pahchān karvā.ī hai mūjid kī
jo mere dil meñ thī us ne vahī tahrīr pahuñchā.ī
ab us se baḌh ke kyā tā'rīf ho saktī hai qāsid kī
jo andar se nahīñ bāhar se ḳhadd-o-ḳhāl manvā.e
par asl-e-ā.ina sūrat gañvā detā hai qāsid kī
havāle se jo manvā.e vo sachchā.ī nahīñ hotī
qasam khātā nahīñ huuñ is liye maiñ rabb-e-vāhid kī
KHuda ne jis ko chaha us ne bachche ki tarah zid ki
KHuda baKHshish karega is liye 'iqbaal-sajid' ki
gawahi dega ek din KHud mera munsif mere haq mein
dhari rah jaengi sari dalilen mere hasid ki
wahi jo pahle aaya tha wo sab ke ba'd bhi aaya
usi paikar ne to pahchan karwai hai mujid ki
jo mere dil mein thi us ne wahi tahrir pahunchai
ab us se baDh ke kya ta'rif ho sakti hai qasid ki
jo andar se nahin bahar se KHadd-o-KHal manwae
par asl-e-aina surat ganwa deta hai qasid ki
hawale se jo manwae wo sachchai nahin hoti
qasam khata nahin hun is liye main rabb-e-wahid ki
- Book : kulliyat-e-iqbaal saajid (Pg. 149)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.