KHuda-parast mile aur na but-parast mile
ḳhudā-parast mile aur na but-parast mile
mile jo log vo apne nashe meñ mast mile
kahīñ ḳhud apnī durustī kā dukh nahīñ dekhā
bahut jahāñ kī durustī ke bandobast mile
kahīñ to ḳhāk-nashīñ kuchh buland bhī hoñge
hazāroñ apnī bulandī meñ kitne past mile
ye sahl fat.h to phīkī sī lag rahī hai mujhe
kisī aziim muhim meñ kabhī shikast mile
ye shāḳh-e-gul kī lachak bhī payām rakhtī hai
basān-e-teġh the jo ham ko haq-parast mile
sunā hai chand tahī-dāmanoñ meñ zarf to thā
'surūr' ham ko tavañgar bhī tañg-dast mile
KHuda-parast mile aur na but-parast mile
mile jo log wo apne nashe mein mast mile
kahin KHud apni durusti ka dukh nahin dekha
bahut jahan ki durusti ke bandobast mile
kahin to KHak-nashin kuchh buland bhi honge
hazaron apni bulandi mein kitne past mile
ye sahl fath to phiki si lag rahi hai mujhe
kisi azim muhim mein kabhi shikast mile
ye shaKH-e-gul ki lachak bhi payam rakhti hai
basan-e-tegh the jo hum ko haq-parast mile
suna hai chand tahi-damanon mein zarf to tha
'surur' hum ko tawangar bhi tang-dast mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.