KHuda rakhe meri diwangi ko
ḳhudā rakhe mirī dīvāngī ko
na bhūlā huuñ na bhūlūñgā kisī ko
na kar rusvā mazāq-e-mai-kashī ko
bujhā le be-piye hī tishnagī ko
mire nazdīk tamhīd-e-alam hai
ḳhushī maiñ kah nahīñ saktā ḳhushī ko
luTā kar kā.enāt-e-zindagānī
ba-mushkil aaj paayā hai kisī ko
sahārā le rahā huuñ bebasī kā
mukammal kar rahā huuñ zindagī ko
na samjhā hai na samjhegā zamāna
ḳhudī ke saath rabt-e-be-ḳhudī ko
dikhā kar ik jhalak chhup jaane vaale
nigāheñ DhūñDhtī haiñ phir tujhī ko
ġhazal be-kaif thī muddat se 'rāhī'
duā.eñ do 'jigar' kī shā.irī ko
KHuda rakhe meri diwangi ko
na bhula hun na bhulunga kisi ko
na kar ruswa mazaq-e-mai-kashi ko
bujha le be-piye hi tishnagi ko
mere nazdik tamhid-e-alam hai
KHushi main kah nahin sakta KHushi ko
luTa kar kaenat-e-zindagani
ba-mushkil aaj paya hai kisi ko
sahaara le raha hun bebasi ka
mukammal kar raha hun zindagi ko
na samjha hai na samjhega zamana
KHudi ke sath rabt-e-be-KHudi ko
dikha kar ek jhalak chhup jaane wale
nigahen DhunDhti hain phir tujhi ko
ghazal be-kaif thi muddat se 'rahi'
duaen do 'jigar' ki shairi ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.