KHuda rakkhe hamein tab se ki jab tumhaare bane
ḳhudā rakkhe hameñ tab se ki jab tumhāre bane
bahut bure the ham achchhe tumhāre maare bane
ye tere husn-e-nihāyat kā nām-e-nāmī hai
ki in se rang khuleñ aur isti'āre bane
tarah tarah se tire ḳhadd-o-ḳhāl dekhe haiñ
magar abhī bhī nahīñ tere māh-pāre bane
tire suḳhan se murattab huī luġhāt mirī
ye tere dast-e-hunar se mire ishāre bane
ye tere paañv uThe haiñ jahāñ-jahāñ ke liye
vahāñ vahāñ mire dariyāoñ ke kināre bane
junūn-e-asl meñ hangām-e-vasl milte hī
mire vujūd meñ sau sau tarah ke dhāre bane
ye tere shauq kī ḳhātir hai āsmān bichhā
ye tere shauq kī ḳhātir hai sab sitāre bane
KHuda rakkhe hamein tab se ki jab tumhaare bane
bahut bure the hum achchhe tumhaare mare bane
ye tere husn-e-nihayat ka nam-e-nami hai
ki in se rang khulen aur isti'are bane
tarah tarah se tere KHadd-o-KHal dekhe hain
magar abhi bhi nahin tere mah-pare bane
tere suKHan se murattab hui lughat meri
ye tere dast-e-hunar se mere ishaare bane
ye tere panw uThe hain jahan-jahan ke liye
wahan wahan mere dariyaon ke kinare bane
junun-e-asl mein hangam-e-wasl milte hi
mere wujud mein sau sau tarah ke dhaare bane
ye tere shauq ki KHatir hai aasman bichha
ye tere shauq ki KHatir hai sab sitare bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.