KHuda se ham-kalami hai na koi Deal hoti hai
ḳhudā se ham-kalāmī hai na koī Deal hotī hai
maqām-e-ġhaib se āvāz kī tarsīl hotī hai
ḳhushī se pahle ḳhud tā'rīf uThāte haiñ mirī aur phir
achānak dostoñ ko jealousy bhī feel hotī hai
navard-e-husn-o-tāsīr-o-bunat-kārī ke bal ke baa'd
hazāroñ saal meñ chashm-e-muannas jhiil hotī hai
fishār-e-ḳhūn par bāñdho koī sohbat kā dhāgā bhī
nahīñ to aaj bandar-gāh-e-dil hī seal hotī hai
falak ke paar chakkar kāTtā hai raat bhar koī
sitāroñ kī baġhal meñ roz ik qindīl hotī hai
gale se lag zabāñ ko chhū koī ḳhvāhish bhī puurī kar
dilāsoñ se kahāñ ġham kī fazā tabdīl hotī hai
KHuda se ham-kalami hai na koi Deal hoti hai
maqam-e-ghaib se aawaz ki tarsil hoti hai
KHushi se pahle KHud ta'rif uThate hain meri aur phir
achanak doston ko jealousy bhi feel hoti hai
naward-e-husn-o-tasir-o-bunat-kari ke bal ke ba'd
hazaron sal mein chashm-e-muannas jhil hoti hai
fishaar-e-KHun par bandho koi sohbat ka dhaga bhi
nahin to aaj bandar-gah-e-dil hi seal hoti hai
falak ke par chakkar kaTta hai raat bhar koi
sitaron ki baghal mein roz ek qindil hoti hai
gale se lag zaban ko chhu koi KHwahish bhi puri kar
dilason se kahan gham ki faza tabdil hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.