KHuda se ishq ho achchhi dua salam na ho
ḳhudā se ishq ho achchhī duā salām na ho
ki jaise dasht ko bādal se koī kaam na ho
maiñ dostī meñ sharī.at kā paas rakhtā huuñ
agar ye zaḳhm lagānā mujhe harām na ho
khaTak rahā ho kisī shaḳhs kā dilāsā mujhe
aur us pe zulm ki paanī kā ehtimām na ho
maiñ āsmān kī dāvat qubūl kar lūñgā
magar zamīñ ke sivā koī tām-jhām na ho
duā to vo hai jo darkār ho hameñ ḳhud bhī
ḳhudā kare tū kisī kā kabhī ġhulām na ho
munāfiqat meñ koī maslahat nahīñ hotī
tū chāhtā hai ki talvār be-niyām na ho
mushā.ere meñ koī mujh sā sar-phirā bhī dikhā
ki jis ke paas cliche se bharā kalām na ho
KHuda se ishq ho achchhi dua salam na ho
ki jaise dasht ko baadal se koi kaam na ho
main dosti mein shariat ka pas rakhta hun
agar ye zaKHm lagana mujhe haram na ho
khaTak raha ho kisi shaKHs ka dilasa mujhe
aur us pe zulm ki pani ka ehtimam na ho
main aasman ki dawat qubul kar lunga
magar zamin ke siwa koi tam-jham na ho
dua to wo hai jo darkar ho hamein KHud bhi
KHuda kare tu kisi ka kabhi ghulam na ho
munafiqat mein koi maslahat nahin hoti
tu chahta hai ki talwar be-niyam na ho
mushaere mein koi mujh sa sar-phira bhi dikha
ki jis ke pas cliche se bhara kalam na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.