KHuda se mashwara manga hai tere bare mein
ḳhudā se mashvara māñgā hai tere baare meñ
koī ishāra to ab hogā istiḳhāre meñ
ye merī saañs jo chāhe ḳharīd saktā hai
maiñ bhar ke bech rahā huuñ use ġhubāre meñ
jo baat baat pe dīvār rone lagtī hai
kisī kā ḳhuun milāyā hai tū ne gaare meñ
vo ik charāġh jo aayā hai mere hisse meñ
vo jal rahā hai kisī dūsre sitāre meñ
patā nahīñ hai jo ishq-o-havas kā farq tujhe
batā.ūñ sūra-e-yūsuf hai kis sipāre meñ
KHuda se mashwara manga hai tere bare mein
koi ishaara to ab hoga istiKHare mein
ye meri sans jo chahe KHarid sakta hai
main bhar ke bech raha hun use ghubare mein
jo baat baat pe diwar rone lagti hai
kisi ka KHun milaya hai tu ne gare mein
wo ek charagh jo aaya hai mere hisse mein
wo jal raha hai kisi dusre sitare mein
pata nahin hai jo ishq-o-hawas ka farq tujhe
bataun sura-e-yusuf hai kis sipare mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.