KHuda se roz-e-azal kis ne iKHtilaf kiya
KHuda se roz-e-azal kis ne iKHtilaf kiya
Syed Fakhruddiin Balley
MORE BYSyed Fakhruddiin Balley
ḳhudā se roz-e-azal kis ne iḳhtilāf kiyā
vo aadmī to na thā jis ne inhirāf kiyā
maiñ kyā batā.ūñ ki qalb-o-nazar pe kyā guzrī
kiran ne qatra-e-shabnam meñ jab shigāf kiyā
vahī to huuñ maiñ ki jis ke vajūd se pahle
ḳhud apne rab se farishtoñ ne iḳhtilāf kiyā
usī ke rahm-o-karam par hai āqibat merī
na jis ne pahlī ḳhatā ko mirī muaaf kiyā
azal se ālam-e-maujūd tak safar kar ke
ḳhud apne jism ke hujre meñ etakāf kiyā
ḳhudā-gavāh ki maiñ ne ḳhud-āgahī ke liye
samajh ke ḳhud ko haram umr bhar tavāf kiyā
raheñge qasr-e-aqā.ed na falsafoñ ke mahal
jo maiñ ne apnī haqīqat kā inkishāf kiyā
KHuda se roz-e-azal kis ne iKHtilaf kiya
wo aadmi to na tha jis ne inhiraf kiya
main kya bataun ki qalb-o-nazar pe kya guzri
kiran ne qatra-e-shabnam mein jab shigaf kiya
wahi to hun main ki jis ke wajud se pahle
KHud apne rab se farishton ne iKHtilaf kiya
usi ke rahm-o-karam par hai aaqibat meri
na jis ne pahli KHata ko meri muaf kiya
azal se aalam-e-maujud tak safar kar ke
KHud apne jism ke hujre mein etakaf kiya
KHuda-gawah ki main ne KHud-agahi ke liye
samajh ke KHud ko haram umr bhar tawaf kiya
rahenge qasr-e-aqaed na falsafon ke mahal
jo main ne apni haqiqat ka inkishaf kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.