KHuda se zulm ka shikwa zarur maine kiya
ḳhudā se zulm kā shikva zarūr maiñ ne kiyā
baḌā qusūr ye ai rashk-e-hūr maiñ ne kiyā
kisī se dil kā lagānā gunāh hai nāseh
jo ye qusūr hai to ye qusūr maiñ ne kiyā
vo zikr-e-va.ada-e-vasl-e-adū pe kahte haiñ
zarūr maiñ ne kiyā bizzarūr maiñ ne kiyā
tirā ḳhayāl mire dil meñ aa nahīñ saktā
ki jis ko duur kiyā us ko duur maiñ ne kiyā
janāb-e-'nūh' zamāne kā e'tibār nahīñ
burā kiyā jo kisī se ġhurūr maiñ ne kiyā
KHuda se zulm ka shikwa zarur main ne kiya
baDa qusur ye ai rashk-e-hur main ne kiya
kisi se dil ka lagana gunah hai naseh
jo ye qusur hai to ye qusur main ne kiya
wo zikr-e-wada-e-wasl-e-adu pe kahte hain
zarur main ne kiya bizzarur main ne kiya
tera KHayal mere dil mein aa nahin sakta
ki jis ko dur kiya us ko dur main ne kiya
janab-e-'nuh' zamane ka e'tibar nahin
bura kiya jo kisi se ghurur main ne kiya
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 139)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.