KHuda-shanas bahut hum bhi the magar ab ke
ḳhudā-shanās bahut ham bhī the magar ab ke
vo maar dil pe paḌī hai ḳhudā ko bhuul ga.e
bas ek chashm-e-zadan meñ guzar ga.ī duniyā
baḌe jatan the isī umr-e-yak-nafas ke liye
vo shakl sāmne rahtī hai kuchh nahīñ kahtī
taras gayā huuñ bahut lazzat-e-suḳhan ke liye
firāq-e-dīda-o-jāñ dil samajh nahīñ paatā
farār-e-dīda-o-dil tū hī ab tasallī de
KHuda-shanas bahut hum bhi the magar ab ke
wo mar dil pe paDi hai KHuda ko bhul gae
bas ek chashm-e-zadan mein guzar gai duniya
baDe jatan the isi umr-e-yak-nafas ke liye
wo shakl samne rahti hai kuchh nahin kahti
taras gaya hun bahut lazzat-e-suKHan ke liye
firaq-e-dida-o-jaan dil samajh nahin pata
farar-e-dida-o-dil tu hi ab tasalli de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.